منٹو
میں نے اس کو دیکھا ہے اجلی اجلی سڑکوں پر اک گرد بھری حیرانی میں پھیلتی بھیڑ کے اوندھے اوندھے کٹوروں کی طغیانی میں جب وہ خالی بوتل پھینک کے کہتا ہے ''دنیا! تیرا حسن، یہی بد صورتی ہے'' دنیا اس کو گھورتی ہے شور سلاسل بن کر گونجنے لگتا ہے انگاروں بھری آنکھوں میں یہ تند سوال کون ہے یہ جس نے اپنی بہکی بہکی سانسوں کا جال بام زماں پر پھینکا ہے کون ہے جو بل کھاتے ضمیروں کے پر پیچ دھندلکوں میں روحوں کے عفریت کدوں کے زہر اندوز محلکوں میں لے آیا ہے یوں بن پوچھے اپنے آپ عینک کے برفیلے شیشوں سے چھنتی نظروں کی چاپ کون ہے یہ گستاخ تاخ تڑاخ!
English rendering
Maiñ ne us ko dekhā hai Ujlī ujlī saṛkoñ par ik gard bharī hairānī mein Phailtī bheeṛ ke aundhe aundhe kaṭoroñ kī tuġhyānī mein Jab woh ḳhālī botal pheñk ke kahtā hai ''Duniyā! terā husn, yahī bad-sūratī hai'' Duniyā us ko ghūrtī hai Shor salāsil ban kar gūñjne lagtā hai Angāroñ bharī āñkhoñ mein yeh tund savāl Kaun hai yeh jis ne apnī bahkī bahkī sāñsoñ kā jāl Bām-e-zamāñ par pheñkā hai Kaun hai jo bal khāte zameeroñ ke pur-pech dhundalkoñ mein Rūhoñ ke ifreet-kadoñ ke zahr-andoz mahlakoñ mein Le āyā hai yūñ bin pūchhe apne aap Ainak ke barfeelay sheeshoñ se chhintī nazroñ kī chāp Kaun hai yeh gustāḳh Tāḳh taṛāḳh!