پنواڑی
بوڑھا پنواڑی اس کے بالوں میں مانگ ہے نیاری آنکھوں میں جیون کی بجھتی اگنی کی چنگاری نام کی اک ہٹی کے اندر بوسیدہ الماری آگے پیتل کے تختے پر اس کی دنیا ساری پان کتھا سگریٹ تمباکو چونا لونگ سپاری عمر اس بوڑھے پنواڑی کی پان لگاتے گزری چونا گھولتے چھالیاں کاٹتے کتھ پگھلاتے گزری سگریٹ کی خالی ڈبیوں کے محل سجاتے گزری کتنے شرابی مشتریوں سے نین ملاتے گزری چند کسیلی پتوں کی گتھی سلجھاتے گزری کون اس گتھی کو سلجھائے دنیا ایک پہیلی دو دن ایک پھٹی چادر میں دکھ کی آندھی جھیلی دو کڑوی سانسیں لیں دو چلموں کی راکھ انڈیلی اور پھر اس کے بعد نہ پوچھو کھیل جو ہونی کھیلی پنواڑی کی ارتھی اٹھی بابا اللہ بیلی صبح بھجن کی تان منوہر جھنن جھنن لہرائے ایک چتا کی راکھ ہوا کے جھونکوں میں کھو جائے شام کو اس کا کمسن بالا بیٹھا پان لگائے جھن جھن ٹھن ٹھن چونے والی کٹوری بجتی جائے ایک پتنگا دیپک پر جل جائے دوسرا آئے
English rendering
Buṛhā Panwari us ke bāloñ mein māñg hai niyārī Āñkhoñ mein jīvan kī bujhtī agnī kī chiñgārī Nām kī ik haṭṭī ke andar boseeda almārī Āge pītal ke taḳhte par us kī duniyā sārī Pān kathā cigarette tambākū chūna lauñg supārī Umar is buṛhe Panwari kī pān lagāte guzrī Chūna gholte chhāliyāñ kāṭte kath pighlāte guzrī Cigarette kī ḳhālī ḍibbiyoñ ke mahal sajāte guzrī Kitne sharābī mushtariyoñ se nain milāte guzrī Chand kaseelī pattoñ kī gutthī suljhāte guzrī Kaun is gutthī ko suljhā'e duniyā ek paheli Do din ek phaṭī chādar mein dukh kī āñdhī jhelī Do kaṛvī sāñseiñ līñ do chilmoñ kī raakh uñḍelī Aur phir us ke ba'd na pūchho khel jo honī khelī Panwari kī arthī uṭhī bābā Allāh belī Subah bhajan kī tān manohar jhanan jhanan lahrā'e Ek chitā kī raakh hawā ke jhoñkoñ mein kho jā'e Shām ko us kā kamsin bālā baiṭhā pān lagā'e Jhan jhan ṭhan ṭhan chūne wālī kaṭorī bajtī jā'e Ek patañgā deepak par jal jā'e dūsrā ā'e