توسیع شہر
بیس برس سے کھڑے تھے جو اس گاتی نہر کے دوار جھومتے کھیتوں کی سرحد پر بانکے پہرے دار گھنے سہانے چھاؤں چھڑکتے بور لدے چھتنار بیس ہزار میں بک گئے سارے ہرے بھرے اشجار جن کی سانس کا ہر جھونکا تھا ایک عجیب طلسم قاتل تیشے چیر گئے ان ساونتوں کے جسم گری دھڑام سے گھائل پیڑوں کی نیلی دیوار کٹتے ہیکل جھڑتے پنجر چھٹتے برگ و بار سہی دھوپ کے زرد کفن میں لاشوں کے انبار آج کھڑا میں سوچتا ہوں اس گاتی نہر کے دوار اس مقتل میں صرف اک میری سوچ لہکتی ڈال مجھ پر بھی اب کاری ضرب اک اے آدم کی آل
English rendering
Bees baras se khaṛe the jo is gātī nahar ke dwār Jhoomte khetõ kī sarhad par bāñke pehre-dār Ghane suhāne chhā'oñ chhiṛakte bor lade chhatnar Bees hazār mein bik ga'e sāre hare bhare ashjār Jin kī sāñs kā har jhoñkā thā ek ajeeb tilism Qātil teshe cheer ga'e un sāwantõ ke jism Girī dhaṛām se ghā'il peṛõ kī neelī deewār Kaṭte haikal jhaṛte pañjar chhuṭte barg-o-bār Sihī dhoop ke zard kafan mein lāshõ ke ambār Aaj khaṛā maiñ sochtā hūñ is gātī nahar ke dwār Is maqtal mein sirf ik merī soch lahaktī ḍāl Mujh par bhī ab kārī zarb ik ae ādam kī āl