کوئی انیس کوئی آشنا نہیں رکھتے
کوئی انیس کوئی آشنا نہیں رکھتے کسی کی آس بغیر از خدا نہیں رکھتے کسی کو کیا ہو دلوں کی شکستگی کی خبر کہ ٹوٹنے میں یہ شیشے صدا نہیں رکھتے فقیر دوست جو ہو ہم کو سرفراز کرے کچھ اور فرش بجز بوریا نہیں رکھتے مسافرو شب اول بہت ہے تیرہ و تار چراغ قبر ابھی سے جلا نہیں رکھتے وہ لوگ کون سے ہیں اے خدائے کون و مکاں سخن سے کان کو جو آشنا نہیں رکھتے مسافران عدم کا پتہ ملے کیونکر وہ یوں گئے کہ کہیں نقش پا نہیں رکھتے تپ دروں غم فرقت ورم پیادہ روی مرض تو اتنے ہیں اور کچھ دوا نہیں رکھتے کھلے گا حال انہیں جب کہ آنکھ بند ہوئی جو لوگ الفت مشکل کشا نہیں رکھتے جہاں کی لذت و خواہش سے ہے بشر کا خمیر وہ کون ہیں کہ جو حرص و ہوا نہیں رکھتے انیسؔ بیچ کے جاں اپنی ہند سے نکلو جو توشۂ سفر کربلا نہیں رکھتے
English rendering
Koī Anīs koī āshnā nahīñ rakhte Kisī kī aas baghair az Khudā nahīñ rakhte Kisī ko kyā ho diloñ kī shikastagī kī khabar Ke tūṭne meñ yeh shīshe sadā nahīñ rakhte Faqīr dost jo ho hum ko sarfarāz kare Kuchh aur farsh bajuz boriyā nahīñ rakhte Musāfiro shab-e-avval bahut hai tīra o tār Charāgh-e-qabr abhī se jalā nahīñ rakhte Woh log kaun se haiñ ai Khudā-e-kaun o makāñ Sukhan se kān ko jo āshnā nahīñ rakhte Musāfirān-e-'adam kā patā mile kyūñkar Woh yūñ ga'e ke kahīñ naqsh-e-pā nahīñ rakhte Tap-e-darūñ gham-e-furqat varam piyāda-ravī Maraz to itne haiñ aur kuchh davā nahīñ rakhte Khulegā hāl unhīñ jab ke āñkh band huī Jo log ulfat-e-mushkil-kushā nahīñ rakhte Jahāñ kī lazzat o khwāhish se hai bashar kā khamīr Woh kaun haiñ ke jo hirs o havā nahīñ rakhte Anīs bech ke jāñ apnī Hind se niklo Jo tosha-e-safar-e-Karbalā nahīñ rakhte