بنی تھی کچھ اک اس سے مدت کے بعد
بنی تھی کچھ اک اس سے مدت کے بعد سو پھر بگڑی پہلی ہی صحبت کے بعد جدائی کے حالات میں کیا کہوں قیامت تھی ایک ایک ساعت کے بعد موا کوہ کن بے ستوں کھود کر یہ راحت ہوئی ایسی محنت کے بعد لگا آگ پانی کو دوڑے ہے تو یہ گرمی تری اس شرارت کے بعد کہے کو ہمارے کب ان نے سنا کوئی بات مانی سو منت کے بعد سخن کی نہ تکلیف ہم سے کرو لہو ٹپکے ہے اب شکایت کے بعد نظر میرؔ نے کیسی حسرت سے کی بہت روئے ہم اس کی رخصت کے بعد
English rendering
Banī thī kuchh ek us se muddat ke ba'd So phir bigṛī pahlī hī suhbat ke ba'd Judā'ī ke hālāt meñ kyā kahūñ Qayāmat thī ek ek sā'at ke ba'd Mu'ā Kohkan be-sitūñ khod kar Yeh rāhat huī aisī mihnat ke ba'd Lagā āg pānī ko dauṛe hai tū Yeh garmī terī is sharārat ke ba'd Kahe ko hamāre kab un ne sunā Koī bāt mānī so minnat ke ba'd Sukhan kī na taklīf hum se karo Lahū ṭapke hai ab shikāyat ke ba'd Nazar Mīr ne kaisī hasrat se kī Bahut ro'e hum us kī rukhsat ke ba'd