بارہا گور دل جھنکا لایا
بارہا گور دل جھنکا لایا اب کے شرط وفا بجا لایا قدر رکھتی نہ تھی متاع دل سارے عالم میں میں دکھا لایا دل کہ یک قطرہ خوں نہیں ہے بیش ایک عالم کے سر بلا لایا سب پہ جس بار نے گرانی کی اس کو یہ ناتواں اٹھا لایا دل مجھے اس گلی میں لے جا کر اور بھی خاک میں ملا لایا ابتدا ہی میں مر گئے سب یار عشق کی کون انتہا لایا اب تو جاتے ہیں بت کدے سے میرؔ پھر ملیں گے اگر خدا لایا
English rendering
Bārhā gor-e-dil jhinkā lāyā Ab ke shart-e-vafā bajā lāyā Qadr rakhtī na thī matā'-e-dil Sāre 'ālam meñ maiñ dikhā lāyā Dil ke yak qatra-e-khūñ nahīñ hai besh Ek 'ālam ke sar balā lāyā Sab pe jis bār ne girānī kī Us ko yeh nā-tavāñ uṭhā lāyā Dil mujhe us galī meñ le jā kar Aur bhī khāk meñ milā lāyā Ibtidā hī meñ mar ga'e sab yār Ishq kī kaun intihā lāyā Ab to jāte haiñ but-kade se Mīr Phir mileñge agar khudā lāyā