چمن میں گل نے جو کل دعوی جمال کیا
چمن میں گل نے جو کل دعوی جمال کیا جمال یار نے منہ اس کا خوب لال کیا فلک نے آہ تری رہ میں ہم کو پیدا کر برنگ سبزۂ نورستہ پائمال کیا رہی تھی دم کی کشاکش گلے میں کچھ باقی سو اس کی تیغ نے جھگڑا ہی انفصال کیا مری اب آنکھیں نہیں کھلتیں ضعف سے ہمدم نہ کہہ کہ نیند میں ہے تو یہ کیا خیال کیا بہار رفتہ پھر آئی ترے تماشے کو چمن کو یمن قدم نے ترے نہال کیا جواب نامہ سیاہی کا اپنی ہے وہ زلف کسو نے حشر کو ہم سے اگر سوال کیا لگا نہ دل کو کہیں کیا سنا نہیں تو نے جو کچھ کہ میرؔ کا اس عاشقی نے حال کیا
English rendering
Chaman meñ gul ne jo kal da'vā-e-jamāl kiyā Jamāl-e-yār ne muñh us kā khūb lāl kiyā Falak ne āh terī rah meñ hum ko paidā kar Barang-e-sabza-e-naw-rasta pā'emāl kiyā Rahī thī dam kī kashākash gale meñ kuchh bāqī So us kī tegh ne jhagaṛā hī infisāl kiyā Merī ab āñkheñ nahīñ khultīñ za'f se hamdam Na kah ke nīñd meñ hai tū yeh kyā khayāl kiyā Bahār-e-rafta phir āī tere tamāshe ko Chaman ko yumn-e-qadam ne tere nihāl kiyā Javāb-e-nāma-siyāhī kā apnī hai woh zulf Kisū ne hashr ko hum se agar savāl kiyā Lagā na dil ko kahīñ kyā sunā nahīñ tū ne Jo kuchh ke Mīr kā is āshiqī ne hāl kiyā