ہستی اپنی حباب کی سی ہے
ہستی اپنی حباب کی سی ہے یہ نمائش سراب کی سی ہے نازکی اس کے لب کی کیا کہیے پنکھڑی اک گلاب کی سی ہے چشم دل کھول اس بھی عالم پر یاں کی اوقات خواب کی سی ہے بار بار اس کے در پہ جاتا ہوں حالت اب اضطراب کی سی ہے نقطۂ خال سے ترا ابرو بیت اک انتخاب کی سی ہے میں جو بولا کہا کہ یہ آواز اسی خانہ خراب کی سی ہے آتش غم میں دل بھنا شاید دیر سے بو کباب کی سی ہے دیکھیے ابر کی طرح اب کے میری چشم پر آب کی سی ہے میرؔ ان نیم باز آنکھوں میں ساری مستی شراب کی سی ہے
English rendering
Hastī apnī habāb kī sī hai Yeh numā'ish sarāb kī sī hai Nāzukī us ke lab kī kyā kahiye Pankhaṛī ek gulāb kī sī hai Chashm-e-dil khol is bhī 'ālam par Yāñ kī auqāt khwāb kī sī hai Bār bār us ke dar pe jātā hūñ Hālat ab iztirāb kī sī hai Nuqta-e-khāl se terā abrū Bait ek intikhāb kī sī hai Maiñ jo bolā kahā ke yeh āvāz Isī khāna-kharāb kī sī hai Ātish-e-gham meñ dil bhunā shāyad Der se bū kabāb kī sī hai Dekhiye abr kī tarah ab ke Merī chashm pur-āb kī sī hai Mīr in nīm-bāz āñkhoñ meñ Sārī mastī sharāb kī sī hai