اے مرے ہم کنار جسم چل مجھے بے کنار کر
اے مرے ہم کنار جسم چل مجھے بے کنار کر میں تجھے مشتہر کروں تو مرا اشتہار کر دونوں کو یاد تو رہے بیٹھے ہیں آر پار ہم بیچ کے اس چراغ کو دیکھ تو لیں پکار کر پانی یہاں سے چل دیا تجھ کو پکارتے ہوئے بیٹھا اب اپنے حوض پر پانی کا انتظار کر جسم سے غم نکل گیا کپڑوں کا دم نکل گیا اور مجھے رہائی دے اور مرا شکار کر ہجر کے ہاتھ کھل کے دیکھ وصل کے ساتھ مل کے دیکھ ایک سے اختیار مانگ ایک کو اختیار کر رات بچی نہ دن بچے وقت بہت سا بچ گیا وعدے کی رات کاٹ کر وعدے کا دن گزار کر شہر میں داخلے کی شرط جسم نہیں تھا روح تھی جسم کا جسم رکھ دیا سر سے کہیں اتار کر خاک بھی جم گئی مری راکھ بھی تھم گئی مری لوٹوں گا آج دیر سے تھوڑا سا انتظار کر
English rendering
Ae mere ham-kinār jism chal, mujhe be-kinār kar Main tujhe mush'tahir karun, tu merā ishtihaar kar Donoñ ko yaad to rahe, baithe hain aar-paar ham Beech ke us charāgh ko dekh to lein pukār kar Paani yahāñ se chal diyā tujh ko pukārte hue Baiṭhā ab apne hauz par paani kā intizār kar Jism se gham nikal gayā, kapdoñ kā dam nikal gayā Aur mujhe rihāī de, aur merā shikār kar Hijr ke haath khul ke dekh, vasl ke saath mil ke dekh Ek se ikhtiyār māñg, ek ko ikhtiyār kar Raat bachi na din bache, waqt bahut sā bach gayā Waade kī raat kāṭ kar, waade kā din guzār kar Shahr meñ dakhle kī shart jism nahīñ thā rooh thī Jism kā jism rakh diyā sar se kahīñ utār kar Khaak bhī jam gaī miri, raakh bhī tham gaī miri Lauṭūñgā aaj der se, thoṛā sā intizār kar