عشق میں دوہری مشقت کی ہے
عشق میں دوہری مشقت کی ہے حالت ہجر میں ہجرت کی ہے ایسی ویرانی میں کرتے بھی تو کیا یہ بھی کچھ کم ہے کہ وحشت کی ہے بات میری نہیں اے دربدری بات یہ بار امانت کی ہے میں کہ منظر میں ہوں منظر کی طرح یہ بھی اک شکل سکونت کی ہے پیکر گل کی طلب تھی لیکن پرتو گل پہ قناعت کی ہے زخم کی لو پہ اثر رکھتا ہوں اس دیے نے مری بیعت کی ہے
English rendering
Ishq meñ dohrī mashaqqat kī hai Hālat-e-hijr meñ hijrat kī hai Aisī vīrānī meñ karte bhī to kyā Yeh bhī kuch kam hai ke vahshat kī hai Baat merī nahīñ, ae dar-ba-dar Baat yeh bār-e-amānat kī hai Maiñ ke manzar meñ hooñ manzar kī tarah Yeh bhī ik shakl-e-sukūnat kī hai Paikar-e-gul kī talab thī lekin Parto-e-gul pe qanā'at kī hai Zakhm kī lau pe asar rakhtā hooñ Us diye ne mirī bai'at kī hai