دور اس سرحد دل پر بھی اترنا ہو گا
دور اس سرحد دل پر بھی اترنا ہو گا دشت جیسا بھی سہی پار تو کرنا ہو گا عشق کافی نہیں اندر کی سدا سننے کو یہ خلا اور کسی طور سے بھرنا ہو گا جادۂ دل سے وہ سب لوگ تو ہو گزرے ہیں اس گزر گاہ کو اب خود بھی گزرنا ہو گا زینۂ خواب سے اتروں گا میں لمحہ لمحہ اور زینے کو مرے ساتھ اترنا ہو گا اپنی یہ وضع نہیں تھی مگر اے زخم ہنر کیا خبر تھی ترا انکار بھی کرنا ہو گا وقت گزرے چلا جاتا ہے بس اپنی دھن میں اک صدا آئے گی اور اس کو ٹھہرنا ہو گا دل کی جانب چلا آتا ہے جو دریائے فراق ہو نہ ہو آج اسے یاں سے گزرنا ہو گا
English rendering
Door us sarhad-e-dil par bhī utarnā ho gā Dasht jaisā bhī sahī paar to karnā ho gā Ishq kāfī nahīñ andar kī sadā sun'ne ko Yeh khalā aur kisī taur se bharnā ho gā Jāda-e-dil se woh sab log to ho guzre hain Is guzar-gāh ko ab khud bhī guzarnā ho gā Zīna-e-khwaab se utarūñgā maiñ lamha lamha Aur zīne ko mere saath utarnā ho gā Apnī yeh vaz'a nahīñ thī magar ae zakhm-e-hunar Kyā khabar thī terā inkār bhī karnā ho gā Waqt guzre chalā jātā hai bas apnī dhun meñ Ik sadā ā'e gī aur us ko ṭheharnā ho gā Dil kī jānib chalā ātā hai jo daryā-e-firāq Ho na ho aaj use yahāñ se guzarnā ho gā