شاہین عباس

شاہین عباس

شاعر — Shaheen Abbas

تعارف شاعری

خاک اور خواب کی دہلیز سے باہر ہو کر

خاک اور خواب کی دہلیز سے باہر ہو کر ہم نے منظر کو جلا دی پس منظر ہو کر کیسی آسانی میں ہیں دونوں کنارے دل کے موج انجام کو پہنچی ہے سمندر ہو کر مسئلہ آن پڑا ہے قد و قامت کا اسے دل کہ دم لے گا کہیں درد برابر ہو کر وہی آنسو تر و تازہ خبر آرا دیکھے جب بھی دیکھا ہے کبھی غار کے اندر ہو کر نقص جاتے رہے ڈوبے ہوئے دن کے شاہینؔ شام آنکھوں سے نکل آئی ہے بہتر ہو کر

— شاہین عباس

English rendering

Khaak aur khwaab kī dehleez se bāhar ho kar Ham ne manzar ko jalā dī pas-manzar ho kar Kaisī āsānī meñ haiñ donoñ kināre dil ke Mauj anjām ko pahuñchī hai samandar ho kar Mas'ala aan paṛā hai qad-o-qāmat kā use Dil ke dam legā kahīñ dard barābar ho kar Vohī āñsū tar-o-tāza khabar ārā dekhe Jab bhī dekhā hai kabhī ghār ke andar ho kar Naqs jāte rahe ḍūbe hue din ke shāhīn Shām āñkhoñ se nikal āī hai behtar ho kar

‹ کلام کی فہرست پر واپس