بدن کی ساکھ تو پوشاک سے نہیں بنتی
بدن کی ساکھ تو پوشاک سے نہیں بنتی کہانی حرف ہوس ناک سے نہیں بنتی مرے وجود میں آنے کا تذکرہ ہی کیا میں جانتا ہوں مری چاک سے نہیں بنتی میں خواب زاد ہوں اور خواب ہی سے بھاگتا ہوں میں خاک زاد ہوں اور خاک سے نہیں بنتی گیا جو موج میں اس کی وہ ڈوبتا ہی گیا اس آنکھ کی کسی پیراک سے نہیں بنتی
English rendering
Badan kī saakh to poshāk se nahīñ bantī Kahānī harf-e-havas-nāk se nahīñ bantī Mere vajood mein aane kā tazkira hī kyā Maiñ jaanta hoon mirī chaak se nahīñ bantī Maiñ khvaab zaad hoon aur khvaab hī se bhāgtā hoon Maiñ khaak zaad hoon aur khaak se nahīñ bantī Gayā jo mauj mein us kī vo ḍūbtā hī gayā Is aankh kī kisī pairāk se nahīñ bantī