جز دیدۂ تر نقش بنایا نہیں جاتا
جز دیدۂ تر نقش بنایا نہیں جاتا رنگ اور کہیں مجھ سے جمایا نہیں جاتا اب جیسا بھی انجام ہو اس کوزہ گری کا مٹی سے مگر ہاتھ چھڑایا نہیں جاتا یہ دل تو وہ دل ہے ہمیں مطلب نہیں جس سے یہ گھر تو وہ گھر ہے جہاں آیا نہیں جاتا اگ آتی ہے دیوار خرابی سر صحرا بن جاتا ہے گھر خود ہی بنایا نہیں جاتا دل روزن دنیا سے نظر آئے تو آئے اس موج کو منظر پہ تو لایا نہیں جاتا وحشت کی حدیں خاک سے ملتی نہیں افسوس اک دشت ہے اور اس میں سمایا نہیں جاتا ہم راہ سفر پیڑ جو تھے رہ گئے پیچھے جو سایہ سروں پر تھا وہ سایہ نہیں جاتا
English rendering
Juz dīda-e-tar naqsh banāyā nahīñ jātā Raṅg aur kahīñ mujh se jamāyā nahīñ jātā Ab jaisā bhī anjām ho is kooza-garī kā Miṭṭī se magar hāth chhuṛāyā nahīñ jātā Yeh dil to vo dil hai hameñ matlab nahīñ jis se Yeh ghar to vo ghar hai jahāñ āyā nahīñ jātā Ag ātī hai dīvār ḵẖarābī sar-e-sehrā Ban jātā hai ghar ḵẖud hī banāyā nahīñ jātā Dil rozan-e-duniyā se nazar ā'e to ā'e Is mauj ko manzar pe to lāyā nahīñ jātā Wahshat kī hadeñ ḵẖāk se miltī nahīñ afsos Ik dasht hai aur us mein samāyā nahīñ jātā Ham rāh-e-safar peṛ jo the rah ga'e pīchhe Jo sāya sarūñ par thā vo sāya nahīñ jātā