خامشی کی طرح تیری شام میں آنا مرا
خامشی کی طرح تیری شام میں آنا مرا ڈوبنا اک بار اور پھر ڈوبتے جانا مرا ہم میں باغوں کی سی بے باکی کہاں سے آ گئی یوں مہک اٹھنا تمہارا اور مہکانا مرا تیری تنہائی کے سائے میں ہے تنہائی مری تیرے ویرانے کی سرحد پر ہے ویرانہ مرا اپنی اپنی خامشی میں اپنے اپنے خواب میں مجھ کو دہرانا تمہارا تم کو دہرانا مرا سب کا سب نقش نہایت جسم کیا اور اسم کیا تیرا یوں مجھ کو بنانا اور بن جانا مرا چھوڑ آنا خود کو ان آنکھوں کے پردے میں کہیں دیکھنے پر بھی مجھے کم کم نظر آنا مرا میرے یاں آنے سے تنہائی بڑھی ہے اور بھی اور خالی ہو گیا ہے آئنہ خانہ مرا
English rendering
Khāmoshī kī tarah terī shaam meñ aana mirā Doobna ek baar aur phir doobte jaana mirā Ham mein baaghōn kī sī be-bākī kahāñ se aa ga.ī Yuñ mahak uThnā tumhārā aur mahakānā mirā Terī tanhā.ī ke sāye mein hai tanhā.ī mirī Tere vīrāne kī sarhad par hai vīrānā mirā Apnī apnī ḳhāmoshī mein apne apne ḳhvāb mein Mujh ko dohrānā tumhārā tum ko dohrānā mirā Sab kā sab naqsh nihāyat jism kyā aur ism kyā Terā yuñ mujh ko banānā aur ban jaanā mirā Chhoṛ aanā ḳhud ko in aankhoñ ke parde meñ kahīñ Dekhne par bhī mujhe kam kam nazar aanā mirā Mere yaañ aane se tanhā.ī baḌhī hai aur bhī Aur ḳhālī ho gayā hai aa.īna-ḳhāna mirā