کسی اپنی زمیں پر اور کسی اپنے زمانے میں
کسی اپنی زمیں پر اور کسی اپنے زمانے میں مری تو عمر گزری ہے تجھے منظر پہ لانے میں نظر کی حیرتیں آخر کو رخصت ہو گئیں اور میں اکیلا رہ گیا ہوں وقت کے آئینہ خانے میں کسی کے آنسوؤں نے جیسے مجھ کو باندھ رکھا ہو عجب سی روک ہے ان پانیوں سے لوٹ آنے میں چراغ دل ہوں اور تیرے نگہ داروں میں شامل ہوں سر طاق نظر روشن ہوں بے خوابی کے خانے میں یہ سانس اک شعلۂ آئندہ کی لپٹوں میں پیدا سانس برا کیا ہے اگر آزاد ٹھہرے آنے جانے میں سکوت دل بتا تو یہ در و بست نوا کیا ہے ترا حصہ کہاں تک ہے مرا لہجہ بنانے میں
English rendering
Kisī apnī zamīñ par aur kisī apne zamāne mein Merī to umr guzarī hai tujhe manzar pe laane mein Nazar kī hairateñ āḵẖir ko ruḵẖsat ho ga'īñ aur maiñ Akelā rah gayā huuñ waqt ke ā'īna-ḵẖāne mein Kisī ke āñsu'oñ ne jaise mujh ko bāndh rakhā ho Ajab sī rok hai un pāniyoñ se lauṭ aane mein Chirāg̠h-e-dil huuñ aur tere nigah-dāroñ mein shāmil huuñ Sar-e-ṭāq-e-nazar roshan huuñ be-ḵẖwābī ke ḵẖāne mein Ye saañs ik shoʿla-e-ā'indā kī lapṭoñ mein paidā saañs Burā kyā hai agar āzād ṭhahre aane jaane mein Sukūt-e-dil batā to ye dar-o-bast-e-navā kyā hai Terā hissa kahāñ tak hai merā lahja banāne mein