شاہین عباس

شاہین عباس

شاعر — Shaheen Abbas

تعارف شاعری

کسی آئنے پہ میں پھر نظر نہیں کر سکا

کسی آئنے پہ میں پھر نظر نہیں کر سکا ترے بعد کئی بھی عشق اثر نہیں کر سکا اسے خاک پر سے گزرنا کتنا محال تھا ترے خواب پر جو گزر بسر نہیں کر سکا میں پلٹ کے آیا تو باغ خالی ملا مجھے مرا انتظار کوئی شجر نہیں کر سکا شب ہجر جیسی رواں تھی ویسی رواں رہی میں کوئی بھی لہر ادھر ادھر نہیں کر سکا کوئی تم سے دور بھی تھا تمہارے حضور بھی مگر اس طرح کہ تمہیں خبر نہیں کر سکا عجب انتشار سخن میں تھا ترے روبرو سو میں اپنی بات کو مختصر نہیں کر سکا مجھے پھر بھی دل کے ہی قافلے میں گنا گیا میں اگرچہ دل کی طرح سفر نہیں کر سکا

— شاہین عباس

English rendering

Kisī āīne pe maiñ phir nazar nahīñ kar sakā Tere ba'd kaī bhī ishq asar nahīñ kar sakā Use khāk par se guzarnā kitnā muhāl thā Tere khwaab par jo guzar basar nahīñ kar sakā Maiñ palaṭ ke āyā to bāgh khālī milā mujhe Merā intizār koī shajar nahīñ kar sakā Shab-e-hijr jaisī ravāñ thī vaisī ravāñ rahī Maiñ koī bhī lahar idhar udhar nahīñ kar sakā Koī tum se door bhī thā, tumhāre huzoor bhī Magar is tarah ke tumheiñ khabar nahīñ kar sakā Ajab intishār-e-sukhan meñ thā tere rū-ba-rū So maiñ apnī baat ko mukhtasar nahīñ kar sakā Mujhe phir bhī dil ke hī qāfile meñ ginā gayā Maiñ agarche dil kī tarah safar nahīñ kar sakā

‹ کلام کی فہرست پر واپس