نام اور نقش کی سرحد سے ملا دے گا مجھے
نام اور نقش کی سرحد سے ملا دے گا مجھے خود مرا خواب کبھی خواب بنا دے گا مجھے یہ ستارہ سا جو دل ہے مری دریافت تمام جب تلک روشنی دیتا ہے دعا دے گا مجھے یہ الگ بات کہ میں گوش بر آواز نہیں پھر بھی کچھ دیر تو آئینہ صدا دے گا مجھے دل کہ بڑھتا چلا آتا ہے نظر کی جانب پھر کسی کار محبت پہ لگا دے گا مجھے جسم اکتایا اگر ایک سی وحشت سے تو دل ایک دشت اور اسی دشت میں لا دے گا مجھے جس سفینے میں شب و روز کے آ بیٹھا ہوں موج میں آیا اگر موج بنا دے گا مجھے دل میں دیوار کے اٹھنے سے یہ شور اٹھا ہے یہ وہ سایہ ہے جو چپ چاپ جلا دے گا مجھے
English rendering
Naam aur naqsh kī sarhad se milā degā mujhe Khud merā khwaab kabhī khwaab banā degā mujhe Yeh sitāra sā jo dil hai miri daryāft tamām Jab talak roshnī detā hai duā degā mujhe Yeh alag baat ke maiñ gosh bar āwāz nahīñ Phir bhī kuch der to āīnā sadā degā mujhe Dil ke baṛhtā chalā ātā hai nazar kī jānib Phir kisī kār-e-mohabbat pe lagā degā mujhe Jism uktāyā agar ek sī vahshat se to dil Ek dasht aur usī dasht meñ lā degā mujhe Jis safīne meñ shab-o-roz ke ā baiṭhā hooñ Mauj meñ āyā agar mauj banā degā mujhe Dil meñ dīvār ke uṭhne se yeh shor uṭhā hai Yeh woh sāyā hai jo chup-chāp jalā degā mujhe