سفر زیست کا کم کم ہنر آتا ہے مجھے
سفر زیست کا کم کم ہنر آتا ہے مجھے بار سر اچھا ہے کھینچے لئے جاتا ہے مجھے طائر جاں تو گیا اور گیا بھی اس پار جانے والا مگر اب تک نظر آتا ہے مجھے زخم اک چوکھٹے میں جیسے مجسم ہو جائے میں وہ تصویر کہ ہر رنگ رلاتا ہے مجھے کوئی ریلا ہے سمے کا جو گراں ہے مجھ پر کوئی دریا ہے کنارے سے اٹھاتا ہے مجھے آمد آمد ہے یہ کس عالم تنہائی کی ایک اک زخم مرا چھوڑتا جاتا ہے مجھے ہاں یہی خواب سفر ہے کہ نظر ہے جس پر ہاں اسی گرد سفر میں نظر آتا ہے مجھے پھر سے اک بار میں تصویر ہوا چاہتا ہوں پھر سر لوح نظر کوئی بناتا ہے مجھے
English rendering
Safar-e-zīst kā kam kam hunar aatā hai mujhe Bār-e-sar achchhā hai kheen̄che liye jātā hai mujhe Tāir-e-jāñ to gayā aur gayā bhī us paar Jāne wālā magar ab tak nazar aatā hai mujhe Zakhm ik chaukhate meñ jaise mujassam ho jaae Main woh tasvīr ke har rañg rulātā hai mujhe Koī relā hai same kā jo girāñ hai mujh par Koī daryā hai kināre se uṭhātā hai mujhe Āmad āmad hai yeh kis ālam-e-tanhāī kī Ek ek zakhm merā choṛtā jātā hai mujhe Hāñ yahī khwaab-e-safar hai ke nazar hai jis par Hāñ usī gard-e-safar meñ nazar aatā hai mujhe Phir se ik baar maiñ tasvīr huā chāhtā hooñ Phir sar-e-lauh-e-nazar koī banātā hai mujhe