سر جڑا سایہ جڑا اس دور کی دیوار سے
سر جڑا سایہ جڑا اس دور کی دیوار سے آخری دروازہ نکلا آخری دیوار سے تب تو یہ دیوار اونچی تھی کہ جب بارش گری پھر میں اونچا ہو گیا اس ڈوبتی دیوار سے یہ جو دل سینے میں ہے جو خواب روزینے میں ہے جیسے کئی لگ کے بیٹھا ہو تری دیوار سے شہر کا آغاز تھا اور شہر ہی ملتا نہ تھا میں الجھ کر گر پڑا اک ملگجی دیوار سے مل ملا کر عشق کا اک تجربہ ثابت کیا کچھ نمی دل میں سے نکلی کچھ نمی دیوار سے دامن اچھا تھا کہ یہ سب داغ اچھے ہیں بتاؤ کیوں جڑے بیٹھے ہو اس مٹی بھری دیوار سے یوں ملا دیجے ہمیں جیسے ملا دیتی ہے شام وقت کی دیوار کو بے وقت کی دیوار سے ایک اینٹ اور ایک رخنہ ایک رخنہ ایک اینٹ چھاؤں بھی دیوار سے ہے دھوپ بھی دیوار سے
English rendering
Sar juṛā sāya juṛā is daur kī dīvār se Āḵẖirī darvāza niklā āḵẖirī dīvār se Tab to ye dīvār ūñchī thī ki jab bārish girī Phir maiñ ūñchā ho gayā is ḍūbtī dīvār se Ye jo dil sīne mein hai jo ḵẖwāb rozīne mein hai Jaise ka'ī lag ke baiṭhā ho tirī dīvār se Shahr kā āg̠hāz thā aur shahr hī miltā na thā Maiñ ulajh kar gir paṛā ik malgajī dīvār se Mil milā kar ishq kā ik tajraba sābit kiyā Kuchh namī dil mein se niklī kuchh namī dīvār se Dāman achcha thā ki ye sab dāg̠h achche haiñ batā'o Kyūñ juṛe baiṭhe ho is miṭṭī bharī dīvār se Yūñ milā dījiye hameñ jaise milā detī hai shām Waqt kī dīvār ko be-waqt kī dīvār se Ek īñṭ aur ek ruḵẖna ek ruḵẖna ek īñṭ Chhā'oñ bhī dīvār se hai dhūp bhī dīvār se