علامہ اقبال

علامہ اقبال

شاعر — Allama Iqbal

تعارف شاعری

ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں

ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں ابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیں تہی زندگی سے نہیں یہ فضائیں یہاں سیکڑوں کارواں اور بھی ہیں قناعت نہ کر عالم رنگ و بو پر چمن اور بھی آشیاں اور بھی ہیں اگر کھو گیا اک نشیمن تو کیا غم مقامات آہ و فغاں اور بھی ہیں تو شاہیں ہے پرواز ہے کام تیرا ترے سامنے آسماں اور بھی ہیں اسی روز و شب میں الجھ کر نہ رہ جا کہ تیرے زمان و مکاں اور بھی ہیں گئے دن کہ تنہا تھا میں انجمن میں یہاں اب مرے رازداں اور بھی ہیں

— علامہ اقبال

English rendering

Sitaron se aage jahan aur bhi hain Abhi ishq ke imtehan aur bhi hain Tehi zindagi se nahin yeh fizaaen Yahan sainkadon carvaan aur bhi hain Qanaat na kar aalam-e-rang-o-boo par Chaman aur bhi, aashiyan aur bhi hain Agar kho gaya ek nasheman to kya gham Maqamaat-e-aah-o-fughaan aur bhi hain Tu shaheen hai, parwaaz hai kaam tera Tere samne aasman aur bhi hain Isi roz-o-shab mein ulajh kar na reh ja Ke tere zaman-o-makan aur bhi hain Gaye din ke tanha tha main anjuman mein Yahan ab mere razdaan aur bhi hain

‹ کلام کی فہرست پر واپس