باز گشت
میں تیری بستی سے بھاگ کر دور اک خرابے میں آ گیا ہوں یہ وہ خرابہ ہے جس میں ہستی کی روشنی کا گزر نہیں ہے یہاں نہ تو ہے نہ رنگ و بو ہے نہ زندگی ہے یہاں ہے وہ عالم خموشی کہ دل کی دھڑکن بھی بے صدا ہے کہ میری تنہائیوں کے دامن افق کے دامن سے جا ملے ہیں ترے نگر کے حسین کوچے شفیق گلیاں جو زیست کی روشنی کا گھر ہیں مرے لیے میری بے بسی نے انہیں شب آلود کر دیا ہے وہ رہ گزر تیرے نقش پا پر جہاں ہزار آستاں بنے ہیں وہ رہ گزر اجنبی ہوئے ہیں جہاں میں اب ہوں وہاں اگرچہ ہے بے کراں تیرگی فضا میں مگر یہاں بھی مرے خیالوں میں مہر بن کر ترا سراپا دمک رہا ہے ہوا کے بے کیف سرد جھونکے جو زرد پتوں سے کھیلتے ہیں تو میری بے آب خشک آنکھیں تجھے خلاؤں میں ڈھونڈھتی ہیں مرا تخیل کہ اس خرابے سے بد گماں ہے مرے جنوں کو جھنجھوڑتا ہے تو سوچتا ہوں اگرچہ تو ایک وہ حقیقت ہے جس کا اقرار لا بدی ہے مگر یہ تیرا وجود میرے لیے فقط ایک واہمہ ہے کہ تیری زلفوں کو میرے شانوں نے اپنی دنیا سے دور پایا کہ میرے اشکوں کو تیرے دامن کی آرزو ہی رہی ہمیشہ مگر یہ خوش تھا کہ میرے غم نے ترے تخیل میں وہ ستارے سے بھر دئے تھے چراغ جن کے نہ بجھ سکے ہیں نہ بجھ سکیں گے یہ سب تھا لیکن جنوں پہ کچھ ایسی قدغنیں تھیں کہ جذب دل حرف مدعا کو نہ پا سکا تھا کبھی کوئی درد لفظ بن کر مری زباں پر نہ آ سکا تھا مگر نہ جانے وہ کیا تھا جس نے دلوں کے پردے اٹھا دئے تھے جنوں کے اسرار واقعے تھے تہی زباں ہم ہوئے تھے لیکن زباں کے محتاج کب رہے تھے کہ ہم نگاہوں سے دل کے پیغام بھیجتے تھے یہ سب تھا لیکن میں کرب جاں سوز کا امیں تھا وہ کرب جاں سوز تھا کہ میری حیات سے نیند بد گماں تھی اور اس خرابے میں جس میں ہستی کی روشنی کا گزر نہیں ہے جہاں نہ تو ہے نہ رنگ و بو ہے نہ زندگی ہے مرا گماں تھا یہاں تجھے خود سے دور پا کر میں کرب سے جاں بچا سکوں گا تجھے کبھی تو دماغ و دل سے ہٹا سکوں گا تجھے کبھی تو بھلا سکوں گا مگر یہ اک اور واہمہ تھا قیامتیں سوز درد دل میں نہاں وہی ہیں عبث غم زندگی سے میں نے فرار چاہا اسی طرح کرب جاں گزا سے میں اب بھی آتش بجا ہوں ہر دم کہ اب ترا شہر چھوڑنے کا اک اور غم ہے اگرچہ تیرا وجود میرے لیے فقط ایک واہمہ تھا اگرچہ تیرا وجود میرے لیے فقط ایک واہمہ ہے مگر ترا پیکر مثالی مرے خیالوں میں جاگزیں ہے کہ وہ کسی دل کشا حقیقت کا بھی امیں ہے اور اس سے مجھ کو مفر نہیں ہے میں سوچتا ہوں کہ اس خرابے سے لوٹ جاؤں جہاں نہ تو ہے نہ رنگ و بو ہے نہ زندگی ہے جہاں مجھے آج یہ بھی غم ہے کہ میں نے شہر حبیب چھوڑا وفا سے میں نے وفا نہیں کی میں سوچتا ہوں کہ اس خرابے سے لوٹ جاؤں وہیں جہاں میں نے زندگی کا سکون ڈھونڈا مگر نہ پایا وہیں جہاں میں نے روشنی کے سراب دیکھے حقیقتوں پر نقاب دیکھے وہیں جہاں میں نے راحتوں کے حباب دیکھے وہیں ملے گا سکوں اگر مجھ کو زندگی میں کہیں ملے گا مگر یہ اک خوف میرا دامن اسی خرابے سے باندھتا ہے کہ اس جگہ پھر اگر جنوں نے سکوں نہ پایا تو کیا کروں گا
English rendering
Maiñ terī bastī se bhāg kar duur ek kharābe meñ aa gayā hūñ Ye vo kharāba hai jis meñ hastī kī raushnī kā guzar nahīñ hai Yahāñ na tū hai na rang o bū hai na zindagī hai Yahāñ hai vo ālam-e-khāmoshī ki dil kī dhaṛkan bhī be-sadā hai Ki merī tanhāiyoñ ke dāman-e-ufaq ke dāman se jā mile haiñ Tere nagar ke hasīn kūche, shafīq galiyāñ jo zīst kī raushnī kā ghar haiñ Mere liye merī be-basī ne unheñ shab-ālūd kar diyā hai Vo rahguzar tere naqsh-e-pā par jahāñ hazār āstāñ bane haiñ Vo rahguzar ajnabī hue haiñ Jahāñ maiñ ab hūñ vahāñ agarche hai be-karāñ tīragī fazā meñ Magar yahāñ bhī mere khayāloñ meñ mehar ban kar terā sarāpā damak rahā hai Havā ke be-kaif sard jhauñke jo zard pattoñ se khelte haiñ To merī be-āb khushk āñkheñ tujhe khalāoñ meñ ḍhūñḍhtī hain Merā takhayyul ki is kharābe se bad-gumāñ hai Mere junūñ ko jhinjhoṛtā hai to sochtā hūñ Agarche tū ek vo haqīqat hai jis kā iqrār lā-buddī hai Magar ye terā wujūd mere liye faqat ek wāhima hai Ki terī zulfon ko mere shānoñ ne apnī duniyā se duur pāyā Ki mere ashkoñ ko tere dāman kī ārzū hī rahī hamesha Magar ye khush thā Ki mere gham ne tere takhayyul meñ vo sitāre se bhar diye the Chirāgh jin ke na bujh sake haiñ na bujh sakeñge Ye sab thā lekin junūñ pe kuchh aisī qadghaneñ thīñ Ki jazb-e-dil harf-e-mudd'a ko na pā sakā thā Kabhī koī dard lafz ban kar mirī zabāñ par na aa sakā thā Magar na jāne vo kyā thā jis ne diloñ ke parde uṭhā diye the Junūñ ke asrār wāqe'e the Tahī-zabāñ ham hue the lekin zabāñ ke muhtāj kab rahe the Ki ham nigāhoñ se dil ke paighām bhejte the Ye sab thā lekin maiñ karb-e-jāñ-soz kā amīñ thā Vo karb-e-jāñ-soz thā ki merī hayāt se nīnd bad-gumāñ thī Aur is kharābe meñ jis meñ hastī kī raushnī kā guzar nahīñ hai Jahāñ na tū hai na rang o bū hai na zindagī hai Merā gumāñ thā yahāñ tujhe khud se duur pā kar maiñ karb se jāñ bachā sakūñgā Tujhe kabhī to dimāgh o dil se haṭā sakūñgā Tujhe kabhī to bhulā sakūñgā Magar ye ek aur wāhima thā Qayāmateñ soz-e-dard-e-dil meñ nihāñ vahīñ haiñ Abas gham-e-zindagī se maiñ ne farār chāhā Isī tarah karb-e-jāñ-gazā se maiñ ab bhī ātish-ba-jā hūñ har dam Ki ab terā shahr chhoṛne kā ek aur gham hai Agarche terā wujūd mere liye faqat ek wāhima thā Agarche terā wujūd mere liye faqat ek wāhima hai Magar terā paikar-e-misālī mere khayāloñ meñ jā-gazīñ hai Ki vo kisī dil-kushā haqīqat kā bhī amīñ hai Aur is se mujh ko mafar nahīñ hai Maiñ sochtā hūñ ki is kharābe se lauṭ jā.ūñ Jahāñ na tū hai na rang o bū hai na zindagī hai Jahāñ mujhe āj ye bhī gham hai Ki maiñ ne shahr-e-habīb chhoṛā Vafā se maiñ ne vafā nahīñ kī Maiñ sochtā hūñ ki is kharābe se lauṭ jā.ūñ Wahīñ jahāñ maiñ ne zindagī kā sukūn ḍhūñḍā Magar na pāyā Wahīñ jahāñ maiñ ne raushnī ke sarāb dekhe Haqīqatoñ par naqāb dekhe Wahīñ jahāñ maiñ ne rāhatoñ ke habāb dekhe Wahīñ milegā sukūñ agar mujh ko zindagī meñ kahīñ milegā Magar ye ek khauf merā dāman isī kharābe se bāñdhtā hai Ki is jagah phir agar junūñ ne sukūñ na pāyā to kyā karūñgā