اس نے مجھے کیوں روکنا چاہا
مجھے اس سے تعلق تھا تو بس اتنا کہ میری چند سانسیں کھو گئی تھیں اس کی بستی میں مگر میں نے اسے اپنی محبت کا امیں جانا نہ اس نے ہی کبھی گلیوں میں چھپ چھپ کر مجھے دیکھا کبھی ہم راہ میں اک دوسرے کے سامنے آئے تو یوں جیسے کسی خاموش اسٹیشن پہ دو سادہ مسافر ریل کی آمد پر اک دم چونک کر اک دوسرے کو خوف سے دیکھیں اب اس کے اور میرے درمیان تلوار سی کالی مسافت ہے مگر میں سوچتا رہتا ہوں جب کوئی نہ تھا ایسا تعلق درمیاں جس کو میں چاہت کا ثمر کہتا تو وہ کیوں فاصلہ دے کر بھری بستی کی سرحد تک مرے پیچھے چلا آیا اور اس نے اپنی بھیگی بولتی آنکھوں کی حسرت سے مجھے کیوں روکنا چاہا
English rendering
Mujhe us se ta'alluq thā to bas itnā Ki merī chand sāñseñ kho ga.ī thīñ us kī bastī meñ Magar maiñ ne use apnī mohabbat kā amīñ jānā Na us ne hī kabhī galiyoñ meñ chhup chhup kar mujhe dekhā Kabhī ham-rāh meñ ek dūsre ke sāmne ā.e To yūñ jaise kisī khāmosh station pe do sādhā musāfir Rail kī āmad par ek dam chauñk kar ek dūsre ko khauf se dekheñ Ab us ke aur mere darmiyāñ talwār sī kālī masāfat hai Magar maiñ sochtā rahtā hūñ jab koī na thā aisā ta'alluq darmiyāñ Jis ko maiñ chāhat kā samar kahtā To vo kyūñ fāsila de kar bharī bastī kī sarhad tak mere pīchhe chalā āyā Aur us ne apnī bhīgī boltī āñkhoñ kī hasrat se Mujhe kyūñ roknā chāhā