رائیگاں آزادیوں کے بے ثمر انچاس سال
میں سفر میں ہوں لئے کاندھوں پہ اپنی رائیگاں آزادیوں کے بے ثمر انچاس سال سانس جب تک ساتھ ہے میں خواہشوں کا جگمگاتا ہاتھ تھامے تیری ہم راہی میں ہوں خواہشیں ایک شامیانہ ہیں لرزتی آخری ہچکی کے اور کچھ مانگتی پہلی صدا کے درمیاں جس کے سائے میں گزرتے وقت کے وقت کے چلتے ہوئے لمحوں کو ملتا ہے سکوں ہے انہی جلتے ہوئے لمحوں کی جگ مگ میں مری پہچان گم لمحے چلتے ہیں گزرتا وقت اندھا ہے مگر اور گزرتے وقت کی پہچان دیتا ہے تو مستقبل کا وہ نقش گریزاں ہفت رنگ جو افق تک جائے مے راستے سے اب بھی برسوں دور ہے میں سفر میں ہوں لئے کاندھوں پہ اپنی رائیگاں آزادیوں کے بے ثمر انچاس سال ڈھونڈھتا ہوں آنے والے وقت میں اس ایک لمحے کو جو سچ کہنے کی جرأت دے مجھے تاکہ مر جانے سے پہلے ایک بار میں بھی اشیاء کو پکاروں ان کے اپنے نام سے اس لئے کہ ہر کتاب آسمانی میں لکھا ہے سچ کہو اور یہی خواہش ہے جو اب تک سراب خواب ہے لیکن ایسا خواب دیکھا کس نے جو تعبیر کی حد میں نہ ہو میں کہ اب بھی خواہشوں کا ہاتھ تھامے تیری ہم راہی میں ہوں میں نے اب تک کیسے کیسے نام دے کر تجھ کو دیکھا ہے خود اپنے رنگ میں چاہتا ہوں اب کبھی تجھ کو پکاروں تیرے اپنے نام سے اس لئے میں ہر نئے امکاں کی سرحد تک چلوں گا تیرے ہاتھ راہ کی دیوار کیوں میرے لئے ہوں رائیگاں آزادیوں کے بے ثمر انچاس سال اس لئے کہ سانس چلتی ہے تو ہر منزل مری بانہوں میں ہے اس لئے کہ خواہشیں تو وقت کی مانند ہیں بے سن و سال اس لئے کہ وقت کب بوڑھا ہوا بوڑھے تو ہوتے ہیں درخت میں کہ اب بھی خواہشوں کا ہاتھ تھامے تیری ہم راہی میں ہوں ہر نئے امکاں کی سرحد تک چلوں گا تیرے ساتھ
English rendering
Maiñ safar meñ hūñ liye kāndhoñ pe apnī rā.egāñ āzādiyoñ ke be-samar unchās sāl Sāñs jab tak sāth hai maiñ khwāhishoñ kā jagmagātā hāth thāme Terī ham-rāhī meñ hūñ Khwāhisheñ ek shāmiyāna haiñ laraztī ākhirī hichkī ke aur kuchh māñgtī pahlī sadā ke darmiyāñ Jis ke sā.e meñ guzarte vaqt ke vaqt ke chalte hue lamhoñ ko miltā hai sukūñ Hai unhī jalte hue lamhoñ kī jag mag meñ mirī pahchān gum Lamhe chalte haiñ guzartā vaqt andhā hai magar Aur guzarte vaqt kī pahchān detā hai to mustaqbil kā vo naqsh-e-gurezāñ haft-rang Jo ufaq tak ja.e may rāste se ab bhī barsoñ duur hai Maiñ safar meñ hūñ liye kāndhoñ pe apnī rā.egāñ āzādiyoñ ke be-samar unchās sāl Ḍhūñḍhtā hūñ āne wāle vaqt meñ us ek lamhe ko jo sach kahne kī jur'at de mujhe Tāki mar jāne se pahle ek bār Maiñ bhī ashyā ko pukāroñ un ke apne nām se Is liye ki har kitāb āsmānī meñ likhā hai sach kaho Aur yahī khwāhish hai jo ab tak sarāb-e-khwāb hai Lekin aisā khwāb dekhā kis ne jo ta'bīr kī had meñ na ho Maiñ ki ab bhī khwāhishoñ kā hāth thāme Terī ham-rāhī meñ hūñ Maiñ ne ab tak kaise kaise nām de kar tujh ko dekhā hai khud apne rang meñ Chāhtā hūñ ab kabhī tujh ko pukāroñ tere apne nām se Is liye maiñ har na.e imkāñ kī sarhad tak chalūñgā tere hāth Rāh kī dīvār kyūñ mere liye hoñ rā.egāñ āzādiyoñ ke be-samar unchās sāl Is liye ki sāñs chaltī hai to har manzil merī bāñhoñ meñ hai Is liye ki khwāhisheñ to vaqt kī mānind haiñ be-sin-o-sāl Is liye ki vaqt kab būṛhā huā būṛhe to hote haiñ darakht Maiñ ki ab bhī khwāhishoñ kā hāth thāme terī ham-rāhī meñ hūñ Har na.e imkāñ kī sarhad tak chalūñgā tere sāth