آسیب
تری رہ گزر کو میں یوں چھوڑ آیا کہ اک بے نوا کی تباہی کا تجھ پر نہ الزام آئے میں سمجھا تھا یوں شہر کی رونقوں میں الجھ کر تری بے نیازی کے آسیب سے بچ رہوں گا مگر جب کبھی میں سر شام کیفے میں پہنچا تو دیکھا کہ تو حال کے ایک کونے میں اک میز پر سر جھکائے نہ جانے کسے نامۂ مشکبو لکھ رہا ہے کبھی مال پر میں نے ٹیکسی جو روکی تو دیکھا کہ ٹیکسی میں پہلے سے اک آشنا چہرۂ دل نشیں کی ضیا ہے ہمیشہ یہ تو تھا کبھی شام کو میں کسی سنیما حال میں جا کے بیٹھا تو دیکھا کہ پہلو میں تو ہے کئی بار میں نے تجھے گلشن فاطمہؓ کی ہری گھاس پر بیٹھے دیکھا کئی بار بازار میں تو مرے ساتھ چلتا رہا دیر تک اور کئی بار تو میرے گھر تک مرے ساتھ آیا اور اب اپنے تاریک کمرے میں بیٹھا ہوا سوچتا ہوں تری رہ گزر کو میں کیوں چھوڑ آیا
English rendering
Terī rahguzar ko maiñ yūñ chhoṛ āyā Ki ek be-navā kī tabāhī kā tujh par na ilzām aa.e Maiñ samjhā thā yūñ shahr kī raunaqoñ meñ ulajh kar Terī be-niyāzī ke āseb se bach rahūñgā Magar jab kabhī maiñ sar-e-shām cafe meñ pahuñchā To dekhā Ki tū hāl ke ek kone meñ ek mez par sar jhukā.e Na jāne kise nāma-e-mushk-bū likh rahā hai Kabhī māl par maiñ ne taxi jo rokī To dekhā Ki taxi meñ pahle se ek āshnā chehra dil-nashīñ kī ziyā hai Hamesha ye to thā Kabhī shām ko maiñ kisī cinema hall meñ jā ke baiṭhā To dekhā Ki pahlu meñ tū hai Ka.ī bār maiñ ne tujhe Gulshan-e-Fāṭima kī harī ghās par baiṭhe dekhā Ka.ī bār bāzār meñ tū mere sāth chaltā rahā der tak aur Ka.ī bār tū mere ghar tak mere sāth āyā Aur ab apne tārīk kamre meñ baiṭhā huā sochtā hūñ Terī rahguzar ko maiñ kyūñ chhoṛ āyā