دشمنوں نے جو دشمنی کی ہے
دشمنوں نے جو دشمنی کی ہے دوستوں نے بھی کیا کمی کی ہے خامشی پر ہیں لوگ زیر عتاب اور ہم نے تو بات بھی کی ہے مطمئن ہے ضمیر تو اپنا بات ساری ضمیر ہی کی ہے اپنی تو داستاں ہے بس اتنی غم اٹھائے ہیں شاعری کی ہے اب نظر میں نہیں ہے ایک ہی پھول فکر ہم کو کلی کلی کی ہے پا سکیں گے نہ عمر بھر جس کو جستجو آج بھی اسی کی ہے جب مہ و مہر بجھ گئے جالبؔ ہم نے اشکوں سے روشنی کی ہے
English rendering
Dushmanon ne jo dushmani ki hai Doston ne bhi kya kami ki hai Khamoshi par hain log zer-e-itaab Aur hum ne to baat bhi ki hai Mutmain hai zameer to apna Baat saari zameer hi ki hai Apni to dastaan hai bas itni Gham uthaye hain shayari ki hai Ab nazar mein nahin hai ek hi phool Fikr hum ko kali kali ki hai Pa sakenge na umar bhar jis ko Justuju aaj bhi usi ki hai Jab mah-o-mehar bujh gaye Jaalib Hum ne ashkon se roshni ki hai