حیدر علی آتش

حیدر علی آتش

شاعر — Haider Ali Atish

تعارف شاعری

طرہ اسے جو حسن دل آزار نے کیا

طرہ اسے جو حسن دل آزار نے کیا اندھیر گیسوئے سیہ یار نے کیا گل سے جو سامنا ترے رخسار نے کیا مژگاں نے وہ کیا کہ جو کچھ خار نے کیا ناز و ادا کو ترک مرے یار نے کیا غمزہ نیا یہ ترک ستم گار نے کیا افشاں سے کشتہ ابروئے خم دار نے کیا جوہر سے کام یار کی تلوار نے کیا قامت تری دلیل قیامت کی ہو گئی کام آفتاب حشر کا رخسار نے کیا میری نگہ کے رشک سے روزن کو جان دی رخنہ یہ قصر یار کی دیوار نے کیا سودائے زلف میں مجھے آیا خیال رخ مشتاق روشنی کا شب تار نے کیا حسرت ہی بوسۂ لب شیریں کی رہ گئی میٹھا نہ منہ کو تیرے نمک خوار نے کیا فرصت ملی نہ گریہ سے اک لحظہ عشق میں پانی مرے لہو کو اس آزار نے کیا سیماب کی طرح سے شگفتہ ہوا مزاج اکسیر مجھ کو میرے خریدار نے کیا قد میں تو کر چکا تھا وہ احمق برابری مجبور سرو کو تری رفتار نے کیا حیرت سے پا بہ گل ہوئے روزن کو دیکھ کر دیوار ہم کو یار کی دیوار نے کیا پتھر کے آگے سجدہ کیا تو نے برہمن کافر تجھے ترے بت پندار نے کیا کاوش مژہ نے کی رخ دلبر کی دید میں پائے نگاہ سے بھی خلش خار نے کیا عاشق کی طرح میں جو لگا کرنے بندگی آزاد داغ دے کے خریدار نے کیا اعجاز کا عجب لب جاں بخش سے نہیں پیغمبر اس کو مصحف رخسار نے کیا طرہ کی طرح سے دل عاشق کو پیچ میں کس کس لپیٹ سے تری دستار نے کیا آنکھوں کو بند کر کے تصور میں باغ کے گلشن قفس کو مرغ گرفتار نے کیا نالاں ہوا میں اس رخ رنگیں کو دیکھ کر بلبل مجھے نظارۂ گل زار نے کیا ہکلا کے مجھ سے بات جو اس دل ربا نے کی کس حسن سے ادا اسے تکرار نے کیا الٹا ادھر نقاب تو پردے پڑے ادھر آنکھوں کو بند جلوۂ دیدار نے کیا لذت کو ترک کر تو ہو دنیا کا رنج دور پرہیز بھی دوا ہے جو بیمار نے کیا ناصاف آئینہ ہو تو بد تر ہے سنگ سے روشن یہ حال ہم کو جلاکار نے کیا حلقہ کی ناف یار کے تعریف کیا کروں گول ایسا دائرہ نہیں پرکار نے کیا دیوان حسن یار کی آتشؔ جو سیر کی دیوانہ بیت ابروئے خم دار نے کیا

— حیدر علی آتش

English rendering

Tarh use jo husn-e-dil-āzār ne kiyā Andher gaisoo-e-siyah-e-yār ne kiyā Gul se jo sāmnā tere rukhsār ne kiyā Mizhgañ ne wo kiyā ke jo kuchh khār ne kiyā Nāz-o-adā ko tark mere yār ne kiyā Ghamza nayā ye tark-e-sitamgār ne kiyā Afshāñ se kushta-e-abroo-e-khamdār ne kiyā Jauhar se kām yār ki talwār ne kiyā Qāmat teri daleel-e-qiyāmat ki ho gaī Kām āftāb-e-hashr ka rukhsār ne kiyā Meri nigah ke rashk se rozan ko jaan di Rakhna ye qasr-e-yār ki deewār ne kiyā Sauda-e-zulf mein mujhe āyā khayāl-e-rukh Mushtāq roshni ka shab-e-tār ne kiyā Hasrat hi bosa-e-lab-e-shīreeñ ki rah gaī Mīthā na muñh ko tere namak-khwār ne kiyā Fursat mili na girya se ek lahza ishq mein Paani mere lahoo ko is āzār ne kiyā Sīmāb ki tarah se shugufta hua mizāj Iksīr mujh ko mere kharīdār ne kiyā Qad mein to kar chukā tha wo ahmaq barābari Majboor sarv ko teri raftār ne kiyā Hairat se pā ba gul hue rozan ko dekh kar Deewār ham ko yār ki deewār ne kiyā Patthar ke aage sajda kiyā tu ne Brahman Kāfir tujhe tere but-e-pindār ne kiyā Kāvash mizha ne ki rukh-e-dilbar ki deeda mein Pā-e-nigāh se bhi khalish-e-khār ne kiyā Āshiq ki tarah main jo laga karne bandagi Āzād daagh de ke kharīdār ne kiyā I'jāz ka ajab lab-e-jāñ-bakhsh se nahin Paigham-bar is ko mushaf-e-rukhsār ne kiyā Tarh ki tarah se dil-e-āshiq ko pech mein Kis kis lapeT se teri dastaar ne kiyā Ānkhoñ ko band kar ke tasavvur mein bāgh ke Gulshan-e-qafas ko murgh-e-giraftār ne kiyā Nālāñ hua main is rukh-e-rangeeñ ko dekh kar Bulbul mujhe nazāra-e-gulzār ne kiyā Haklā ke mujh se baat jo is dilrubā ne ki Kis husn se adā use takrār ne kiyā UlTa idhar naqāb to parde paRe udhar Ānkhoñ ko band jalwa-e-dīdār ne kiyā Lazzat ko tark kar to ho duniyā ka ranj door Parhez bhi dawā hai jo bīmār ne kiyā Nāsāf ā'eena ho to badtar hai sang se Roshan ye haal ham ko jalā-kār ne kiyā Halqa ki nāf-e-yār ke ta'reef kya karuñ Gol aisa dā'ira nahin parkār ne kiyā Deewān-e-husn-e-yār ki Atish! jo sair ki Deewāna bait-e-abroo-e-khamdār ne kiyā

‹ کلام کی فہرست پر واپس