تیری جو یاد اے دل خواہ بھولا
تیری جو یاد اے دل خواہ بھولا باللہ بھولا واللہ بھولا فرقت کی شب میں جاں سوز دل نے اف اف کیا جو آہ آہ بھولا کج رکھ نہ پا کو جا دل سے غافل پھیر اس نے کھایا جو راہ بھولا زنار ڈالا تسبیح پھیکی عشق صنم میں اللہ بھولا خور نے گرایا اس کو نظر سے جو ذرہ تیری درگاہ بھولا زلف رسا کو سمجھا جو افعی چوکا وہ قصر کوتاہ بھولا دیکھے سے تیرا روئے منور ہم مہر بھولا ہم ماہ بھولا محروم رکھا ساقی نے ہم کو اپنے گدا کو جم جاہ بھولا بت خانہ چھوڑا باز آئے بت سے وہ شہر بھولا وہ شاہ بھولا شرط وفا کی کس بے وفا سے آتشؔ سا عارف آگاہ بھولا
English rendering
Terī jo yaad ai dil ḳhvāh bhūlā Billāh bhūlā wallāh bhūlā Furqat kī shab meñ jaañ-soz dil ne Uff uff kiyā jo āh āh bhūlā Kaj rakh na pā ko jā dil se ghāfil Phir us ne khāyā jo rāh bhūlā Zunnār ḍālā tasbīh pheñkī Ishq-e-sanam meñ allāh bhūlā Khūr ne girāyā us ko nazar se Jo zarra terī dargāh bhūlā Zulf-e-rasā ko samjhā jo af'ī Chaukā vo qasr-e-kotāh bhūlā Dekhe se terā rū-e-munawwar Ham mehr bhūlā ham māh bhūlā Mahroom rakhā sāqī ne ham ko Apne gadā ko Jam jāh bhūlā But-ḳhāna chhoṛā baaz aa.e but se Vo shahr bhūlā vo shāh bhūlā Shart-e-wafā kī kis be-wafā se Aatish sā aarif āgāh bhūlā