طاق ابرو ہیں پسند طبع اک دل خواہ کے
طاق ابرو ہیں پسند طبع اک دل خواہ کے عمر ہوتی ہے بسر گنبد میں بسم اللہ کے جاؤں کیوں کر بن بلائے اس بت دل خواہ کے بے طلب کوئی نہیں پہونچا حضور اللہ کے روئے نورانی کا تیرے ہو گیا ہے شک جو یار رات بھر دوڑا ہوں کیا کیا پیچھے پیچھے ماہ کے شام وصل آئی ادھر موجود تھی صبح فراق کم گھڑی سے بھی پہر ہیں اس شب کوتاہ کے داغ عشق حسن کا لقمہ نوالہ ہے کڑا سیر دل ہیں کھانے والے اس غم جاں کاہ کے ناتوانی سے ہے حالت غیر ہجر یار میں دم نکل جاتا ہے اپنا ساتھ ہر اک آہ کے عشق بت میں کوہ پر جا جا کے سر پٹکا کئے پاؤں کو صدمے رہے پست و بلند راہ کے سالہا عشق زنخداں نے لہو پانی کیا مدتوں روئے ہیں جا جا کر کنارے چاہ کے حشر تک یوں ہی رہیں گے غمزہ و انداز و ناز عشق عالی منزلت سے حسن والا جاہ کے جا نکلتا ہے جو مجھ سا تشنۂ دیدار حسن ذکر یوسف کرنے لگتے ہیں کبوتر چاہ کے منزل مقصود میں چل کر نکالوں گا انہیں آبلوں میں یہ جو ہیں پیوست کانٹے راہ کے اس بت بے دیں کی زلفوں کا اشارہ ہے یہی اس بلا میں وہ پھنسیں عاشق ہوں جو اللہ کے کب سمائی ہے نظر میں روشنیٔ آفتاب چشم بینا رکھتے ہیں ذرے تری درگاہ کے
English rendering
Tāq-e-abrū haiñ pasand-e-tab-e-ik dil-ḳhvāh ke Umar hotī hai basar gumbad meñ Bismillāh ke Jā.ūñ kyuuñ kar bin bulā.e us but-e-dil-ḳhvāh ke Be-talab koī nahīñ pahuñchā huzūr-e-Allāh ke Rū-e-nūrānī kā tere ho gayā hai shak jo yār Rāt bhar dauṛā huuñ kyā kyā pīchhe pīchhe māh ke Shām-e-vasl aa.ī idhar maujūd thī subh-e-firāq Kam ghaṛī se bhī pahar haiñ is shab-e-kotāh ke Dāgh-e-ishq-e-husn kā luqma nivāla hai kaṛā Sair dil haiñ khāne vaale is gham-e-jāñ-kāh ke Nā-tavānī se hai hālat ghair hijr-e-yār meñ Dam nikal jaatā hai apnā sāth har ik aah ke Ishq-e-but meñ koh par jā jā ke sar paṭkā kiye Pā.oñ ko sadme rahe past-o-buland rāh ke Sālhā ishq-e-zanaḳhdāñ ne lahū paanī kiyā Muddatōñ ro.e haiñ jā jā kar kināre chāh ke Hashr tak yuuñ hī raheñge ghamza o andāz o nāz Ishq-e-ālī manzilātī se husn-e-vālā-jāh ke Jā nikaltā hai jo mujh sā tishna-e-dīdār-e-husn Zikr-e-Yusuf karne lagte haiñ kabūtar chāh ke Manzil-e-maqṣūd meñ chal kar nikālūñ gā unheñ Aablōñ meñ ye jo haiñ paiwast kāñṭe rāh ke Us but-e-be-dīñ kī zulfoñ kā ishāra hai yahī Is balā meñ vo phañseñ āshiq hoñ jo Allāh ke Kab samā.ī hai nazar meñ raushnī-e-āftāb Chashm-e-bīnā rakhte haiñ zarre tirī dargāh ke