مفت کب آزاد کرتی ہے گرفتاری مجھے
مفت کب آزاد کرتی ہے گرفتاری مجھے جی ہے آخر لے کے چھوڑے گی یہ بیماری مجھے کب ہوس ہے مجھ کو رسوائی کی لیکن کیا کروں کھینچ کر لاتی ہے اس کوچہ میں لاچاری مجھے میں جو بن غم خوار ہرگز جی نہ سکتا تھا کبھو ان دنوں کرنی پڑی ہے دل کی غم خواری مجھے عشق کے فن سے ابھی مجھ کو کہاں ہے اطلاع کچھ نہیں آتا بغیر از نالہ و زاری مجھے کیا لگا لیتا ہے خوباں کو یقیںؔ کرتی ہے داغ آئنے کی سادہ لوحی ساتھ پرکاری مجھے
English rendering
Muft kab āzād kartī hai giriftārī mujhe Jī hai āḳhir le ke chhoṛe gī ye bīmārī mujhe Kab havas hai mujh ko rusvā.ī kī lekin kyā karūñ Khīñch kar lātī hai us kūche mein lāchārī mujhe Maiñ jo bin ġham-ḳhvār hargiz jī na saktā thā kabhū In dinoñ karnī paṛī hai dil kī ġham-ḳhvārī mujhe Ishq ke fan se abhī mujh ko kahāñ hai ittila' Kuchh nahīnñ aatā baġhair az nāla-o-zārī mujhe Kyā lagā letā hai ḳhūbāñ ko Yaqīn kartī hai dāġh Ā.īne kī sādh-lauhī sāth parkārī mujhe