نذرانہ
نذرانہ تم پریشان نہ ہو، بابِ کرم وا نہ کرو اور کچھ دیر پکاروں گا چلا جاؤں گا اسی کوچے میں جہاں چاند اگا کرتے ہیں شبِ تاریک گزاروں گا، چلا جاؤں گا راستہ بھول گیا، یا یہی منزل ہے مری کوئی لایا ہے کہ خود آیا ہوں معلوم نہیں کہتے ہیں حسن کی نظریں بھی حسیں ہوتی ہیں میں بھی کچھ لایا ہوں، کیا لایا ہوں معلوم نہیں یوں تو جو کچھ تھا مرے پاس میں سب بیچ آیا کہیں انعام ملا، اور کہیں قیمت بھی نہیں کچھ تمہارے لیے آنکھوں میں چھپا رکھا ہے دیکھ لو اور نہ دیکھو تو شکایت بھی نہیں ایک تو اتنی حسیں دوسرے یہ آرائش جو نظر پڑتی ہے چہرے پہ ٹھہر جاتی ہے مسکرا دیتی ہو رسماً بھی اگر محفل میں اک دھنک ٹوٹ کے سینوں میں بکھر جاتی ہے گرم بوسوں سے تراشا ہوا نازک پیکر جس کی اک آنچ سے ہر روح پگھل جاتی ہے میں نے سوچا ہے کہ سب سوچتے ہوں گے شاید پیاس اس طرح بھی کیا سانچے میں ڈھل جاتی ہے کیا کمی ہے جو کرو گی مرا نذرانہ قبول چاہنے والے بہت، چاہ کے افسانے بہت ایک ہی رات سہی گرمیٔ ہنگامۂ عشق ایک ہی رات میں جل مرتے ہیں پروانے بہت پھر بھی اک رات میں سو طرح کے موڑ آتے ہیں کاش تم کو کبھی تنہائی کا احساس نہ ہو کاش ایسا نہ ہو گھیرے رہے دنیا تم کو اور اس طرح کہ جس طرح کوئی پاس نہ ہو آج کی رات جو میری ہی طرح تنہا ہے میں کسی طرح گزاروں گا چلا جاؤں گا تم پریشان نہ ہو، بابِ کرم وا نہ کرو اور کچھ دیر پکاروں گا چلا جاؤں گا
English rendering
Nazrāna Tum pareshān na ho, bāb-e-karam wā na karo Aur kuchh der pukārūñgā chalā jāūñgā Isī kūche meñ jahāñ chāñd ugā karte haiñ Shab-e-tārīk guzārūñgā, chalā jāūñgā Rāsta bhool gayā, yā yahī manzil hai mirī Koī lāyā hai ki ḳhud āyā hūñ ma'lūm nahīñ Kahte haiñ husn kī nazreñ bhī hasīñ hotī haiñ Maiñ bhī kuchh lāyā hūñ, kyā lāyā hūñ ma'lūm nahīñ Yūñ to jo kuchh thā mire pās maiñ sab bech āyā Kahīñ in'ām milā, aur kahīñ qīmat bhī nahīñ Kuchh tumhāre liye āñkhoñ meñ chhupā rakhā hai Dekh lo aur na dekho to shikāyat bhī nahīñ Ek to itnī hasīñ dūsre ye ārā.ish Jo nazar paṛtī hai chehre pe Thahar jātī hai Muskurā detī ho rasmāñ bhī agar mahfil meñ Ik dhanak ṭūṭ ke sīnoñ meñ bikhar jātī hai Garm bosoñ se tarāshā huā nāzuk paikar Jis kī ik āñch se har rūh pighal jātī hai Maiñ ne sochā hai ki sab sochte hoñge shāyad Pyās is tarah bhī kyā sāñche meñ ḍhal jātī hai Kyā kamī hai jo karogī mirā nazrāna qabūl Chāhne vāle bahut, chāh ke afsāne bahut Ek hī raat sahī garmī-e-hangāma-e-ishq Ek hī raat meñ jal marte haiñ parvāne bahut Phir bhī ik raat meñ sau tarah ke moṛ aate haiñ Kāsh tum ko kabhī tanhāī kā ehsās na ho Kāsh aisā na ho ghere rahe duniyā tum ko Aur is tarah ki jis tarah koī pās na ho Aaj kī raat jo merī hī tarah tanhā hai Maiñ kisī tarah guzārūñgā chalā jāūñgā Tum pareshān na ho, bāb-e-karam wā na karo Aur kuchh der pukārūñgā chalā jāūñgā